Uski aakhon mein mohabbat ka sitara hoga,
Ek din aayega woh shakhs hamara hoga,
Zindagi ab ki mera naam na shamil karna,
Gar ye tai hai ke yahi khel dobara hoga.
Jis ke hone se meri saans chala karti thi,
Kis tarha us ke bagair apna guzara hoga,
Yeh achanak jo ujala sa hua jata hai,
Dil ne chupke se tera naam pukara hoga.
Ishq karna hai to din raat use sochna hai,
Kuchh aur zehan mein aana na ganwara hoga,
Ye jo pani mein chala aaya hai sunehari sa ghuroor,
Usne dariya mein kahin paon utara hoga.
Jo meri rooh mein baadal se gharajte hain,
Usne seene mein koi dard utara hoga,
Kaam mushkil hai maghar jeet hi loonga usko,
Meray moula ka jyon hi ishara hoga.
Board Videos
Uski Aakhon Mein
Started by Shivani, Jan 03 2012 03:12 PM
2 replies to this topic
1 user(s) are reading this topic
0 members, 1 guests, 0 anonymous users
Toggle shoutbox
Shoutbox
|
|||||||
Our Partner websites
Engineering Wall - Engineering Forum - Management Wall - Spicy Flavours- Institute of Finnacial Studies














